H.ZARAWER ALI SHAH

                    Hazrath Sultan Zarawar Ali Sha Hussaini Qadari Sarwari  

 

      Bismillah Hirrahman Nirraheem

 

 

Aap ki wiladat e ba Saadat baroze peer 5 Safar-ul-Muzafar Mutabiq 15 June 1964 ku subae Karnatak ke Gaao Kadgenhalli Malur Taluq Me Huwi. Aap ke walid e Mohtaram Sheik Ahmed Saheb Urf Hazrath Sultan Chanwar Ali Shah Hussaini Qadari Sarwari Qad-Sallalahu Sirrahul Azeez. Aap ki Walida Mohtarma Sajida khatun rahmatullahi  alaih. Aap ki wiladath se qabl jab aap apni walida ke batn e madar me parwarish paa rahe theh. To aap ki walida Mohtarma ne dekha ke yek noor aasman se utara aur aap ki shikam me qarar paya aur usi tarah aap ki wiladath ke yek din qabl aap ke walidain aur qaala ne be ek waqth ek hi bashartah dekhi,  Jis me yek noori maqlooq ne yek roshan Tabaq aap ko ata kiya aur doosre din aap ki wiladath e ba sa adath huwi aap ke do bhai aur yek behan hain

Bradar E Duwwam : Mohtaram Aaftab Ahmed urf Hazrath Sultan Zulfiqar Ali Shah Hussaini Qadari Sarwari Mad Zallalahu

Baradar E Suwwam : Mohatarma Mehtab Ahmed Marhoom Jinho Ne nao(9) mah ke Qaleel Muddath hi me Intiqal Hogae

Aur aap ki Hamsheera motharma Saira Banu Urf Shakeela ma hein.

Aap ne 1978 me Abdul Baari High School Bangalore se 10th (Daswi) Jamath ki Taleem mukammal farmayi. Aur 1981 me Al Ameen College Bangalore me PUC ki taleem mukammal farmayi. Phir aap ne 1986 me Kripanidhi College of Pharmacy se aap ke Diploma in Pharmacy ki Faragath Hasil Ki. Baad aap ne General Medical Me (Staaf) Ke taur par rahe jahan aap ne Medical ke Tijarath ke Usoolon se waqifiyath hasil ki. Aur Phir aap ne 1987 me apni Khud ki General Pharmacy Iftitah ki 1989 me aapka Nikah Ishrath Tasleem se huwa. Aap ke do(2) bete aur ek beti hein.

Pehle Farzand : Asrar Ahmed Sarwari

Doosri Shehzadi : Sajida Tabassum (Urf) Ruksar

Teesre Farzand : Haidar E Karrar Ahmed Sarwari

Aap deeni taleem wo Faraz Adayi gi ki. Baad aap ne roohani wo Irfani safar tay karne ke liye 24 March 1984 me aap ne aap ke walide Mohtaram Hazrath Sultan Chanwar Ali Shah Hussaini Khadari Sarwari ke daman ku thaam kar sil-silaye Qadari Sarwari ki rassi ko mazbooti se thama, aap hamesha apne murshad ke Hamrah Taleem O Tarbiyath ke majlis me shareek rehte.

Aur aap hamesha se apne silsile ke furough ke liye gosha Rehte, Isii Jazbaye Ishq E Murshad se aap ko yek aeham kirdar ata huwa,  Jis se aap par aap ke Murshad E Mohtaram ki Qaas Nazre Inayat Huwi , Aur 2006 me aap Ko Niyamth E Uzma Qilafath se sarfaraz kiya gaya, Aur aap ke sar par Irfani Taj sajaya gaya, Aap hamesha se apne Peer O Murshad ke naqshe aadam par sabith Qadam rahe jis ka andaza hamey Qankhao se malum hota hey. Aap apne Peer O Murshad ke Taalim aur Tarbiyath ko aam kar rahe hain aur apne Peer O Murshad Ke Faizan ko luta rahe hain, aap apne Muredeen ke Tawajjhu ke saath saath aap apne Peer bhaiyo par bhi nazre shafaqath me kabhi kami na farmayi. Aap(3)Teen Riyasato (Riyasathe – Karnataka, Tamilnadu, Andhra Pradesh) me qhankahi nizam ki nigrani farmarahe hain, Jis se har khaas o aam faiz Paa rahe hain.

Qhanka ki Tareeq:

4 tareeq Punganoor Andhra Pradesh

5 tareeq Lingarajapuram Bangalore

8 tareeeq Virinjipuram Tamilnadu

9 tareeq Chennai Tamilnadu

10 tareeq Nellore Andhra Pradesh

12 tareeq Mysore Karnataka

16 tareeq Chintamani Karnataka

18 tareeq Solagiri Tamilnadu

18 tareeq Mangampalai Karnataka

19 tareeq Ambur Tamilnadu

20 tareeq Arcot Tamilnadu

23 tareeq Davagere Karnataka

25 tareeq Kolar Karnataka

In tamaam Qhankha ki nigrani kar rahe hain, har mahine is tareeq me in Qankho me apne faizaan E marifath ata karte hain.

    • Aap ke Zere Nigrani me aap ke zere Intizamo me Jamadul awwal ke (19 & 20) ko apne Peer O murshad Hazrath Sultan Chanwar Alishah Hussaini Qadari Sarwari ka Urs E Mubarak manaya jata hai.
    • Rabbiul Awwal ke Mahine me Jashn E Ghousulwara ka program Arcot ke Qankha me manaya jata hai.
    • Rabbiul awwal ke mahine me Khankaha E Chanwariya Chennai me (11vi) Gyarvi ke fatiha manaya jata hai.
    • Aur apne Peer O murshad Hazrath Sultan Chanwar Alishah hussaini qadari sarwari ke wisale Mubarak ke yaad me Khankha E Chanwariya, Virinchipuram me January ke 16 Tareeq ko Yaum E Chanwariya ka program manaya jata hai.
    • Aur Rajjab Ke Baiswi (22) Tareeq ko Hazrath E Imam Jaffar Sadiq ke naam e Aastan E Chanwariya Kolar me Koondo ki Fatiha manaya jata hai.
    • Aur har saal aap ke Janam din ke mauqe par Aastanae Chanwariya, Kolar Shareef  me 16 June ko  Sarwari Ijtima ka program manaya jata hai, Jis me Shariyath, Tareeqath, Marifath Aur Haqeeqath Ki Taleem di Jati hai.

Aur in tamam karvaiyon me tamam mureedain shamil hokar apne Peer O Murshad ke faizo karam hasil karte hain.

 

Begin typing your search above and press return to search.